2010, നവംബർ 4, വ്യാഴാഴ്‌ച

1
Thoda  Samai hai baaki
Sevaa abhi hai kaafi
Hum rukay nahi, pichay muday nahi (2)
Yishu hai humara saathi (2)

Sandesh sunaatay jaana,
Seva say nahi sharmaana,
Chahay jag humay rokay
Aayay dukh ke jhakore
Humay dega woh bharpur shaanti (2)
Thoda samai….

Hum apna krus uthaayay
Aur yishu kay peechay aayay
Apnay ko thyagay,
Yishu say mann lagayay
Hum uskay hai vishwasi (2)
Thoda Samai hai baaki
Sevaa abhi hai kaafi

Jisne humay bheja hai,
Uska kaam din mey karna hai
Woh raat aney waali
yeh hamari zimeydaari
Yesu hai hamara nyayee (2)
Thoda samai ….
2
Yehova charva hai mera, koi ghati mujhe nahin hai
Hari charaiyon mein mujhe, sneh se charatha woh hai
1. Mrityu ke andhakar se, main jo jatha tha
    Prabhu yesu karuna se, tassali mujhe di hai    (2)
2. Shatruon ke samne, mej ko bichata hai
   Prabhu ne jo taiyyar ki, man mera maagan hai (2)
3.Sarwada prabhu ghar mein, karoonga niwas jo mein
   Karuna bhalai bi uski, aanandit mujhe karti hai            (2)

1 അഭിപ്രായം: